Breathless (Shankar Mahadevan) Guitar Chords

E                     E
Koi jo mila to mujhe, aisa lagta tha jaise,
E                       B
Meri saari duniya main, geetoon ki rut aur,
B                      B
Rangoon ki barkha hai, khushboo ki aandhi hai.
A               E
Mahki hui si ab saari fizaayein hain;
A               E
Behki hui si ab saari hawaayein hain;
A               Bsus4
Khoyi hui si ab saari dishaayein hain;
A               Bsus4
Badli hui se ab saari adaayein hain.


E                    E
Jaagi umangein hain, dhadak raha ahi dil.
E                          A
Saanson main toofaan hain, hoton pe naghme hain,
A                       B
Aakhon main sapne hain. Sapnon main beete hue
E
Saare woh saare lamhe hain -


E                 E
Jab koi aaya tha, nazroon pe chhaya tha,
E                     A
Dil main samayaa tha. Kaise main bataoon tumhe,
A                    A
Kaisa use paaya tha. Pyaar se chehre pe,
B                    A
Bikhri jo zulfien to aisa lagta tha jaise,
B                   A                   B
Kohore ke pechhe ek oons main dhula hua phool khila hai.


E                   E
Jaise badal main ik chaand chhupa hai,
    E                      E                  E
Aur jhaank raha hai; jaise raat ke parde main ek savera hai,
A                A                      E
Raushan-raushan; aankhon main sapnon ka saagar,
         E                B
Jis mein prem sitaroon ki chaadar, jaise jhalak rahi hai.
E                                     Bsus4
Lahroon-lahroon baat karein to, jaise moti barse.


E                      E
Jaise kahin chaandi ki payal goonje;
E                         E              A
Jaise kahin sheeshey main jaam gire, aur chhann se tootey.
E                  A
Jaise koi chhip ke sitaar bajaye;
E                  A
Jaise koi chaandni raat main gaye;
B                  E
Jaise koi haule se paas bulaaye.


E                             E
Kaisi meethi baatain the woh, kaisi mulakaatein thi woh,
E                    A                  A
Jab maine jaana tha, nazroon se kaise pighalta hai dil, aur
A                A
Aarzoo paati hai kaise manzil,
    E                B
Aur kaise utarta hai chaand zameen par.
A                     B                 E
Kaise kabhi lagta hai swarg agar hai to bas hai yahin par.


E                  E
Usne bulaya mujhe, aur samjhaya mujhe -
E                        E
Hum jo mile hain, hamein aise hi milna tha;
E                       E
Gul jo khile hain, unhe aise hi khilna tha.
B                  E
Janmon ke bandhan, janmon ke rishtey hain.
A                     E
Jab bhi hum janme to, hum younhi milte hain.


E                      A
Kaanon main mere jaise shahed sa ghulne lage.
E                      A
Khwaaboon ke dar jaise aakhoon main khulne lage.
A                      B                E
Khwaabon ki duniya bhi kitni haseen aur kaisi rangeen thi!
A                      B                 E
Khwaabon ki duniya, jo kahne ko thi, par kahin bhi nahi thi!
E                     E
Khwaab jo toote mere, aakh jo khuli meri,
E                   E
Hosh jo aaya mujhe, maine dekha maine jaana,
A                      A                      A
Woh jo kabhi aaya tha, nazroon pe chhaya tha, dil main samaya tha -
B                    A                A
Ja bhi chuka hai aur dil mera hai ab, tanha tanha.
A                     A                   E
Na to koi armaan hai, na koi tamanna hai, aur na koi sapna hai.


Am                 E
Ab jo mere din aur ab jo meri ratain hain,
Am                        E
Unmein sirf aansoon hain, unmein seif dard ki,
Am                   E                     A
Ranj ki batain hain, aur fariyaadein hain. Mera ab bhi koi nahi -
Am                      E
Main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein hain.
Am                      E
Main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein hain
Am                      E
Main hoon aur khoye hue pyaar ki yaadein hain


EmoticonEmoticon